Abhilasha- At the time of farewell
Is vidaii ki vela me,
Kahta hu upsthit sabhi se,
Karne ki iswar se prarthana,
Karne ki jeevan me kuchh aisa,
Jo kalyankari aur adarsh ho sabka,
Karen aj hum samay se yahi kamna,
Lekar mata- pita aur guru ka aashirwad,
Sampurna kathore parishram ke sath,
Is jag- maha sangram me,
De saken Jan jan ko kuchh aisa,
Jo path- pradarshak ho sake sabka,
Manohar kavi ki bas yahi Tamanna,
Ichchha- sagar ki is purti me,
Chahta hu jan- pratinidhiyon se,
Karne ki mangal- sadhana,
Samaksha kuchh prastut kar saken aisa,
Lekar sahara, savera ho sake sabka,
Manu-Manohar ki ek yahi "Abhilasha".
Comments
Post a Comment